nam ke naqsh se raushan ye nagina ho jae
naam ke naqsh se raushan ye nagīna ho jaa.e
ka.aba-e-dil mire allāh madīna ho jaa.e
vo chamak dard kī ho dil meñ ki bijlī chamke
dāman-e-tūr zarā aaj ye siina ho jaa.e
tū jo chāhe are o mujh ko bachāne vaale
mauj-e-tūfān-e-balā uTh ke safīna ho jaa.e
zulmat-e-kufr se baḌh kar hai siyāhī dil kī
duur kyūñkar dil-e-aġhyār se kiina ho jaa.e
aañkh meñ barq-e-sar-e-tūr ho gumbad kā kalas
sharaf-andoz-e-ziyārat ye kamīna ho jaa.e
dil rahe haath meñ tere mire pahlū ke evaz
chāhtā huuñ mirī ḳhātam kā nagīna ho jaa.e
us kī taqdīr jo pāmāl ho tere dar par
us kī taqdīr ki jo ḳhāk-e-madīna ho jaa.e
dafn hoñ saath tire mere guhar-hā-e-suḳhan
ḳhaak meñ mil ke numāyāñ ye dafīna ho jaa.e
jaan kī tarah tamanna hai yahī dil meñ 'riyāz'
marūñ ka.abe meñ to muñh sū-e-madīna ho jaa.e
nam ke naqsh se raushan ye nagina ho jae
kaba-e-dil mere allah madina ho jae
wo chamak dard ki ho dil mein ki bijli chamke
daman-e-tur zara aaj ye sina ho jae
tu jo chahe are o mujh ko bachane wale
mauj-e-tufan-e-bala uTh ke safina ho jae
zulmat-e-kufr se baDh kar hai siyahi dil ki
dur kyunkar dil-e-aghyar se kina ho jae
aankh mein barq-e-sar-e-tur ho gumbad ka kalas
sharaf-andoz-e-ziyarat ye kamina ho jae
dil rahe hath mein tere mere pahlu ke ewaz
chahta hun meri KHatam ka nagina ho jae
us ki taqdir jo pamal ho tere dar par
us ki taqdir ki jo KHak-e-madina ho jae
dafn hon sath tere mere guhar-ha-e-suKHan
KHak mein mil ke numayan ye dafina ho jae
jaan ki tarah tamanna hai yahi dil mein 'riyaz'
marun kabe mein to munh su-e-madina ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.