rasul-e-mujtaba kahiye mohammad mustafa kahiye
rasūl-e-mujtabā kahiye mohammad mustafā kahiye
ḳhudā ke baa'd bas vo haiñ phir is ke baa'd kyā kahiye
sharī.at kā hai ye isrār ḳhatm-ul-ambiyā kahiye
mohabbat kā taqāzā hai ki mahbūb-e-ḳhudā kahiye
jab un kā zikr ho duniyā sarāpā gosh ho jaa.e
jab un kā naam aa.e marhabā salle-alā kahiye
mire sarkār ke naqsh-e-qadam sham-e-hidāyat haiñ
ye vo manzil hai jis ko maġhfirat kā rāsta kahiye
mohammad kī nubuvvat dā.era hai nūr-e-vahdat kā
isī ko ibtidā kahiye isī ko intihā kahiye
ġhubār-e-rāh-e-taiba surma-e-chashm-e-basīrat hai
yahī vo ḳhaak hai jis ḳhaak ko ḳhāk-e-shifā kahiye
madīna yaad aatā hai to phir aañsū nahīñ rukte
mirī āñkhoñ ko 'māhir' chashma-e-āb-e-baqā kahiye
rasul-e-mujtaba kahiye mohammad mustafa kahiye
KHuda ke ba'd bas wo hain phir is ke ba'd kya kahiye
shariat ka hai ye israr KHatm-ul-ambiya kahiye
mohabbat ka taqaza hai ki mahbub-e-KHuda kahiye
jab un ka zikr ho duniya sarapa gosh ho jae
jab un ka nam aae marhaba salle-ala kahiye
mere sarkar ke naqsh-e-qadam sham-e-hidayat hain
ye wo manzil hai jis ko maghfirat ka rasta kahiye
mohammad ki nubuwwat daera hai nur-e-wahdat ka
isi ko ibtida kahiye isi ko intiha kahiye
ghubar-e-rah-e-taiba surma-e-chashm-e-basirat hai
yahi wo KHak hai jis KHak ko KHak-e-shifa kahiye
madina yaad aata hai to phir aansu nahin rukte
meri aankhon ko 'mahir' chashma-e-ab-e-baqa kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.