salam us zat-e-aqdas par salam us faKHr-e-dauran par
salām us zāt-e-aqdas par salām us faḳhr-e-daurāñ par
hazāroñ jis ke ehsānāt haiñ duniyā-e-imkāñ par
salām us par ki aaya rahmatullilālamīñ ban kar
payām-e-dost le kar sādiq-ul-vā'd-o-amīñ ban kar
salām us par jalā.ī sham.a-e-irfāñ jis ne sīnoñ meñ
kiyā haq ke liye betāb sajdoñ ko jabīnoñ meñ
salām us par banāyā jis ne dīvānoñ ko farzāna
mai-e-hikmat kā chhalkāyā jahāñ meñ jis ne paimāna
baḌe chhoTe meñ jis ne ik uḳhuvvat kī binā Daalī
zamāne se tamīz-e-bandā-o-āqā miTā Daalī
salām us par faqīrī meñ nihāñ thī jis kī sultānī
rahā zer-e-qadam jis ke shikoh-o-farr-e-ḳhāqānī
salām us par jo hai āsūda zer-e-gumbad-e-ḳhazrā
zamāna aaj bhī hai jis ke dar par nāsiya-farsā
salām us zāt-e-aqdas par hayāt-e-jāvedānī kā
salām 'āzād' kā 'āzād' kī rangīñ bayānī kā
salam us zat-e-aqdas par salam us faKHr-e-dauran par
hazaron jis ke ehsanat hain duniya-e-imkan par
salam us par ki aaya rahmatullilalamin ban kar
payam-e-dost le kar sadiq-ul-wa'd-o-amin ban kar
salam us par jalai shama-e-irfan jis ne sinon mein
kiya haq ke liye betab sajdon ko jabinon mein
salam us par banaya jis ne diwanon ko farzana
mai-e-hikmat ka chhalkaya jahan mein jis ne paimana
baDe chhoTe mein jis ne ek uKHuwwat ki bina Dali
zamane se tamiz-e-banda-o-aqa miTa Dali
salam us par faqiri mein nihan thi jis ki sultani
raha zer-e-qadam jis ke shikoh-o-farr-e-KHaqani
salam us par jo hai aasuda zer-e-gumbad-e-KHazra
zamana aaj bhi hai jis ke dar par nasiya-farsa
salam us zat-e-aqdas par hayat-e-jawedani ka
salam 'azad' ka 'azad' ki rangin bayani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.