Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shah-e-do-alam sun lijiye meri nawa meri fariyaad

Behzad Lakhnavi

shah-e-do-alam sun lijiye meri nawa meri fariyaad

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    shāh-e-do-ālam sun liije merī navā merī fariyād

    hādī-e-āzam sun liije rahtā huuñ maiñ har-dam nāshād

    mujh ko hai taiba armāñ rahtā huuñ maiñ din-rāt tapāñ

    mere mukarram sun liije zindagī hai merī barbād

    koī nahīñ merā ġham-ḳhvār kar diyā ġham ne zār-o-nazār

    nuuh ke hamdam sun liije rahtī hai dil ko aap yaad

    aap haiñ rahmat-e-do-ālam kis se kahūñ maiñ kar ġham

    lutf-e-mujassam sun liije aañkh hai ġhamgīñ dil nāshād

    aap haiñ daatā maiñ huuñ gadā phailā huā hai haath mirā

    qā.em-o-dā.em sun liije dījiye mujh ko merī murād

    merī navā-e-nīm-shabī merā bayān-e-dard-e-dilī

    haq ke mahram sun liije aur mujhe kiije dil-shād

    aur hai hāsil har ne.amat sirf hai taiba hasrat

    rahmat-e-ālam sun liije taḌpe bhalā kab tak 'bahzād'

    shah-e-do-alam sun lije meri nawa meri fariyaad

    hadi-e-azam sun lije rahta hun main har-dam nashad

    mujh ko hai taiba ka arman rahta hun main din-raat tapan

    mere mukarram sun lije zindagi hai meri barbaad

    koi nahin mera gham-KHwar kar diya gham ne zar-o-nazar

    nuh ke hamdam sun lije rahti hai dil ko aap ki yaad

    aap hain rahmat-e-do-alam kis se kahun main ja kar gham

    lutf-e-mujassam sun lije aankh hai ghamgin dil nashad

    aap hain data main hun gada phaila hua hai hath mera

    qaem-o-daem sun lije dijiye mujh ko meri murad

    meri nawa-e-nim-shabi mera bayan-e-dard-e-dili

    haq ke mahram sun lije aur mujhe kije dil-shad

    aur hai hasil har neamat sirf hai taiba ki hasrat

    rahmat-e-alam sun lije taDpe bhala kab tak 'bahzad'

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now