Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shah-e-har-do-sara hain rasul-e-KHuda

Behzad Lakhnavi

shah-e-har-do-sara hain rasul-e-KHuda

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    shāh-e-har-do-sarā haiñ rasūl-e-ḳhudā

    dahr ke rahnumā haiñ rasūl-e-ḳhudā

    un irshād sach un har baat sach

    haq ye hai haq-numā haiñ rasūl-e-ḳhudā

    baa'd un ke na aa.egā koī nabī

    ḳhātam-e-ambiyā haiñ rasūl-e-ḳhudā

    un ke dar se nahīñ aatā ḳhālī koī

    kān-e-jūd-o-saḳhā haiñ rasūl-e-ḳhudā

    un shaidā ḳhud rabb-e-kaun-o-makāñ

    haañ habīb-e-ḳhudā haiñ rasūl-e-ḳhudā

    un irfāñ ho jis ko vahī hai valī

    markaz-e-auliyā haiñ rasūl-e-ḳhudā

    un se 'bahzād' aao kaheñ hāl-e-dil

    vāqif-e-mudda.ā haiñ rasūl-e-ḳhudā

    shah-e-har-do-sara hain rasul-e-KHuda

    dahr ke rahnuma hain rasul-e-KHuda

    un ka irshad sach un ki har baat sach

    haq ye hai haq-numa hain rasul-e-KHuda

    ba'd un ke na aaega koi nabi

    KHatam-e-ambiya hain rasul-e-KHuda

    un ke dar se nahin aata KHali koi

    kan-e-jud-o-saKHa hain rasul-e-KHuda

    un ka shaida hi KHud rabb-e-kaun-o-makan

    han habib-e-KHuda hain rasul-e-KHuda

    un ka irfan ho jis ko wahi hai wali

    markaz-e-auliya hain rasul-e-KHuda

    un se 'bahzad' aao kahen haal-e-dil

    waqif-e-muddaa hain rasul-e-KHuda

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now