wo nabiyon mein rahmat laqab pane wala
vo nabiyoñ meñ rahmat laqab paane vaalā
murādeñ ġharīboñ kī bar laane vaalā
musībat meñ ġhairoñ ke kaam aane vaalā
vo apne parā.e kā ġham khāne vaalā
faqīroñ kā maljā za.īfoñ kā maavā
yatīmoñ kā vaalī ġhulāmoñ kā maulā
ḳhatā-kār se darguzar karne vaalā
bad-andesh ke dil meñ ghar karne vaalā
mafāsid ko zer-o-zabar karne vaalā
qabā.il ko shīr-o-shakar karne vaalā
utar kar hirā se sū-e-qaum aaya
aur ik nusḳha-e-kīmiyā saath laayā
mas-e-ḳhām ko jis ne kundan banāyā
kharā aur khoTā alag kar dikhāyā
arab jis pe qarnoñ se thā jahl chhāyā
palaT dī bas ik aan meñ us kī kaayā
rahā Dar na beḌe ko mauj-e-balā kā
idhar se udhar phir gayā ruḳh havā kā
wo nabiyon mein rahmat laqab pane wala
muraden gharibon ki bar lane wala
musibat mein ghairon ke kaam aane wala
wo apne parae ka gham khane wala
faqiron ka malja zaifon ka mawa
yatimon ka wali ghulamon ka maula
KHata-kar se darguzar karne wala
bad-andesh ke dil mein ghar karne wala
mafasid ko zer-o-zabar karne wala
qabail ko shir-o-shakar karne wala
utar kar hira se su-e-qaum aaya
aur ek nusKHa-e-kimiya sath laya
mas-e-KHam ko jis ne kundan banaya
khara aur khoTa alag kar dikhaya
arab jis pe qarnon se tha jahl chhaya
palaT di bas ek aan mein us ki kaya
raha Dar na beDe ko mauj-e-bala ka
idhar se udhar phir gaya ruKH hawa ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.