aaKHirii sauGaat
aaj bahut der talak abr barastaa rahaa
falak par baadal Takraate rahe
bijlii kii ga.Dga.DaahaT se dil baiThaa jaa rahaa thaa
lag rahaa thaa maano
aasmaa.n se saare taare Tuut kar bikhar jaa.e.nge
ye saare ke saare pahaa.D samundaro.n me.n Duub jaa.e.nge
phir KHaamosh havaa kii ravaanii se hu.ii ye ittilaa'
zamii.n par kahii.n duur ko.ii 'ishq judaa ho rahaa thaa
do logo.n ke darmiyaan ik rishta aaKHirii saa.nse.n le rahaa thaa
ye baadalo.n kii ga.Dga.DaahaT us ke ta.Dapne kii aavaaz thii
ye ghanghor baarish us rishte kii aaKHirii sauGaat thii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.