agar unhe.n maaluum ho jaa.e
vo zindagii ko Daraate hai.n
maut ko rishvat dete hai.n
aur us kii aa.nkh par paTTii baa.ndh dete hai.n
vo hame.n tohfe me.n KHanjar bhejte hai.n
aur ummiid rakhte hai.n
ham KHud ko halaak kar le.nge
vo chi.Diyaa-ghar me.n
sher ke pinjre kii jaalii ko kamzor rakhte hai.n
aur jab ham vahaa.n sair karne jaate hai.n
us din vo sher kaa raatib band kar dete hai.n
jab chaa.nd TuuTaa phuuTaa nahii.n hotaa
vo hame.n ek jaziire kii sair ko bulaate hai.n
jahaa.n na maare jaane kii zamaanat kaa kaaGaz
vo kashtii me.n idhar udhar kar dete hai.n
agar unhe.n maaluum ho jaa.e
vo achchhe qaatil nahii.n
to vo kaa.npne lage.n
aur un kii naukariyaa.n chhin jaa.e.n
vo hamaare maare jaane kaa KHvaab dekhte hai.n
aur taabiir kii kitaabo.n ko jalaa dete hai.n
vo hamaare naam kii qabr khodte hai.n
aur us me.n luuT kaa maal chhupaa dete hai.n
agar unhe.n maaluum bhii ho jaa.e
ki hame.n kaise maaraa jaa saktaa hai
phir bhii vo hame.n nahii.n maar sakte

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.