Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek la.Dkii

Afzal Ahmad Syed

ek la.Dkii

Afzal Ahmad Syed

MORE BYAfzal Ahmad Syed

    lazzat kii intihaa par

    us kii siskiyaa.n

    duniyaa ke tamaam qaumii taraano.n se zyaada

    mausiiqii rakhtii hai.n

    jinsii amal ke dauraan

    vo kisii bhii malika-e-husn se zyaada

    KHuub qaraar paa saktii hai

    us ke blueprint kaa cassette

    haasil karne ke liye

    kisii bhii fasaad-zada ilaaqe tak jaane kaa

    KHatra liyaa jaa saktaa hai

    sirf us se milnaa

    naa-mumkin hai

    lazzat kii intihaa par

    us kii siskiyaa.n

    duniyaa ke tamaam qaumii taraano.n se zyaada

    mausiiqii rakhtii hai.n

    jinsii amal ke dauraan

    vo kisii bhii malika-e-husn se zyaada

    KHuub qaraar paa saktii hai

    us ke blueprint kaa cassette

    haasil karne ke liye

    kisii bhii fasaad-zada ilaaqe tak jaane kaa

    KHatra liyaa jaa saktaa hai

    sirf us se milnaa

    naa-mumkin hai

    Source :
    • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 25)
    • Author : Zahid Hasan
    • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
    • Edition : 2002

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now