ek la.Dkii
mai.n ne ek la.Dkii ko
bhulaane kii koshish kii
aur
vo mere dimaaG me.n vabaa kii tarah phail ga.ii
mai.n ne ek la.Dkii ko
dil se nikaalnaa chaahaa
aur
vo meraa dil ban ga.ii
dil ko nikaaluu.ngaa to mar jaa.u.ngaa
mai.n ne ek la.Dkii kii
har tasviir delete kii
taaki us par nazar pa.Dne se us kii yaad na sataa.e
aur
vo merii aa.nkho.n me.n ghus ga.ii
mai.n ne ek la.Dkii ke
tamaam voice-notes remove kiye
taaki sun kar ro.uu.n na
aur
us kii aavaaz havaa me.n shaamil ho ga.ii
mai.n ne ek la.Dkii ko
apnaa sab kuchh maanaa
aur
vo kuchh nahii.n niklii
mai.n ne ek la.Dkii ko
bhulaane kii koshish kii
aur
vo mere dimaaG me.n vabaa kii tarah phail ga.ii
mai.n ne ek la.Dkii ko
dil se nikaalnaa chaahaa
aur
vo meraa dil ban ga.ii
dil ko nikaaluu.ngaa to mar jaa.u.ngaa
mai.n ne ek la.Dkii kii
har tasviir delete kii
taaki us par nazar pa.Dne se us kii yaad na sataa.e
aur
vo merii aa.nkho.n me.n ghus ga.ii
mai.n ne ek la.Dkii ke
tamaam voice-notes remove kiye
taaki sun kar ro.uu.n na
aur
us kii aavaaz havaa me.n shaamil ho ga.ii
mai.n ne ek la.Dkii ko
apnaa sab kuchh maanaa
aur
vo kuchh nahii.n niklii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.