Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hame.n chup rahnaa hogaa

Qamar Abbas Alvi

hame.n chup rahnaa hogaa

Qamar Abbas Alvi

MORE BYQamar Abbas Alvi

    ham nahii.n baat kar sakte

    us la.Dkii ke baare me.n jis kaa rape is liye hu.aa

    ki us ke jism ke KHutuut libaas me.n chhupne se inkaarii the

    ham nahii.n challenge kar sakte us fatve ko

    jis kii ruu se zamiin me.n zalzale la.Dkiyo.n ke jeans pahan.ne se aate hai.n

    ham nahii.n bol sakte un logo.n se muta’alliq

    jinhe.n kuchal diyaa jaataa hai mahaz hazaaraa hone kii vaj.h se ahmadii yaa phir bilaa-vaj.h

    hame.n ehtijaaj kaa haq nahii.n un ke liye

    jin kii mase.n bhiigne se pahle shumaalii ‘ilaaqa-jaat jaanaa pa.Daa

    mubaiyana gustaaKHii ke ilzaam me.n salaaKHo.n ke piichhe dhakel diyaa

    yaa maar diyaa gayaa kisii KHaas shanaaKHt par

    hame.n bhuul jaanaa chaahiye

    tabaah hotii ma'iishat ko

    maz.hab ke siyaasii iste'maal ko

    yaa ba.Dhte hu.e difaa.ii budget ko

    hame.n chup rahnaa hogaa

    ‘ohde me.n taraqqii ke liye

    raato.n raat amiir hone ke liye

    qur'a-andaazii me.n milne vaale plot ke liye

    aur sab se pahle to

    zinda rahne ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now