jis kaa ko.ii intizaar na kar rahaa ho
jis kaa ko.ii intizaar na kar rahaa ho
use nahii.n jaanaa chaahiye
vaapas
aaKHirii darvaaza band hone se pahle
jis kaa ko.ii intizaar na kar rahaa ho
use nahii.n phirnaa chaahiye
be-qaraar
ek KHuubsuurat raahdaarii me.n
jab tak vo viiraan na ho jaa.e
jis kaa ko.ii intizaar na kar rahaa ho
use nahii.n judaa karnaa chaahiye
KHuun-aaluud paa.nv se
ek puuraa safar
jis kaa ko.ii intizaar na kar rahaa ho
use nahii.n ma.aluum karnii chaahiye
phuulo.n ke ek daste kii qiimat
yaa din taariiKH aur vaqt
jis kaa ko.ii intizaar na kar rahaa ho
use nahii.n jaanaa chaahiye
vaapas
aaKHirii darvaaza band hone se pahle
jis kaa ko.ii intizaar na kar rahaa ho
use nahii.n phirnaa chaahiye
be-qaraar
ek KHuubsuurat raahdaarii me.n
jab tak vo viiraan na ho jaa.e
jis kaa ko.ii intizaar na kar rahaa ho
use nahii.n judaa karnaa chaahiye
KHuun-aaluud paa.nv se
ek puuraa safar
jis kaa ko.ii intizaar na kar rahaa ho
use nahii.n ma.aluum karnii chaahiye
phuulo.n ke ek daste kii qiimat
yaa din taariiKH aur vaqt
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 52)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.