Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mai.n baaz aa jaa.u.ngaa

Asif Jaanif

mai.n baaz aa jaa.u.ngaa

Asif Jaanif

MORE BYAsif Jaanif

    mai.n baaz nahii.n aa.uu.ngaa

    tumhe.n yaad karne se

    aur

    tumhe.n yaad kar ke ro lene se

    mai.n baaz nahii.n aa.uu.ngaa

    kisii KHayaal kaa piichhaa karne se

    aur

    piichhaa karte karte thak jaane se

    mai.n baaz nahii.n aa.uu.ngaa

    KHudaa ko Dhuu.nDne se

    aur KHudaa ko Dhuu.nD kar KHaar hone se

    mai.n baaz nahii.n aa.uu.ngaa

    sochne se

    aur soch soch kar pak jaane se

    mai.n baaz nahii.n aa.uu.ngaa

    shaa'irii se

    aur shaa'irii kar ke rusvaa hone se

    mai.n baaz nahii.n aa.uu.ngaa

    nazme.n kahne se

    aur nazme.n kah kar shaa'iro.n ko jalaane se

    magar haa.n

    mai.n ek din

    baaz aa jaa.u.ngaa zindagii se

    aur phir har shai se

    mai.n baaz nahii.n aa.uu.ngaa

    tumhe.n yaad karne se

    aur

    tumhe.n yaad kar ke ro lene se

    mai.n baaz nahii.n aa.uu.ngaa

    kisii KHayaal kaa piichhaa karne se

    aur

    piichhaa karte karte thak jaane se

    mai.n baaz nahii.n aa.uu.ngaa

    KHudaa ko Dhuu.nDne se

    aur KHudaa ko Dhuu.nD kar KHaar hone se

    mai.n baaz nahii.n aa.uu.ngaa

    sochne se

    aur soch soch kar pak jaane se

    mai.n baaz nahii.n aa.uu.ngaa

    shaa'irii se

    aur shaa'irii kar ke rusvaa hone se

    mai.n baaz nahii.n aa.uu.ngaa

    nazme.n kahne se

    aur nazme.n kah kar shaa'iro.n ko jalaane se

    magar haa.n

    mai.n ek din

    baaz aa jaa.u.ngaa zindagii se

    aur phir har shai se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now