safar-naame kaa diibaacha
taariiKH ke aaGaaz se kuchh pahle
insaan ne tanhaa.ii se ta.ng aa kar
chaar-diivaarii kaa KHauf utaar phe.nkaa
us ne patto.n kaa libaas iijaad kiyaa
aur hifaazat ke liye neza bhii
jab safar kii soch paidaa hu.ii
naqsha iijaad kar liyaa gayaa
jis me.n manzil kaa ko.ii nishaan nahii.n thaa
jab duur-daraaz ke safar par chalne kaa KHvaab naazil hu.aa
juute kii daryaaft pahle hu.ii
yaa phir savaarii kii
ibtidaa.ii taariiKH KHaamosh hai
paanii ke liye mashkiiza iijaad hu.aa
aur safarii-saamaan ke liye gaThrii
jis ke KHadd-o-KHaal aaj se milte-julte hai.n
gaThrii me.n sab se pahle naqsha rakhaa gayaa
aur buu.Dho.n kii chand nasiihate.n bhii
aur tanhaa.ii ke phailte KHauf ne
saat barr-e-aazam daryaaft kar liye

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.