tanhaa.ii
tanhaa.ii chaa.e ke KHaalii cup hai.n jinhe.n bharaa jaa saktaa hai
vo ghar hai.n jin me.n baseraa kiyaa jaa saktaa hai
vo raahe.n hai.n jinhe.n daryaaft kiyaa jaa saktaa hai
vo phuul hai.n jinhe.n to.Daa jaa saktaa
use bharaa jaa saktaa hai
cigarette ke dhue.n se marGuule banaate
kisii ajnabii se be-takaan baate.n karte yaa apne pyaaro.n kii yaad me.n kahaaniyaa.n likhte
chaa.e ThanDii ho kar apnaa lutf kho detii hai aur tanhaa.ii rifaaqat me.n
sehre me.n lagaa phuul mahduud hai yaa janaaze me.n rakhii pattiyaa.n
shaaKH phuul ko aazaad rakhtii hai
tanhaa aadmii kabhii akelaa nahii.n hotaa
tanhaa.ii aur vus'at ham-maa’nii hai.n
ye taaqat rakhtii hai aap kii pasandiida ashyaa ko be-maa'nii banaane kii
maa'muulii tohfo.n ko anmol yaa muddato.n qabl bichh.De hu.o.n ko dil ke qariib laane kii
tanhaa rahnaa ittifaaq nahii.n intiKHaab hai
bhii.D me.n tanhaa rahaa jaa saktaa hai aur tanhaa.ii me.n mahfil lagaa.ii jaa saktii hai
aa.nkhe.n band karte zamaan-o-makaan kii qaid se aazaad
ye insaan kaa KHudaa.ii iKHtiyaar hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.