tum KHuub-suurat daa.ero.n me.n rahtii ho
tum KHuubsuurat daa.ero.n me.n rahtii ho
tumhaare baalo.n ko
ek mudavvar pin
farz-shanaasii se thaame hu.e hai
ek besh-qiimat zanjiir
tumhaarii gardan kii itaa.at kar rahii hai
kabhii Galat na chalne vaalii gha.Dii
tumhaarii kalaa.ii se paivast hai
ek naazuk belt
tumhaarii kamar se ham-aaGosh hai
tumhaare pair
in juuto.n ke tasmo.n se ghire hai.n
jin se tum hamaarii zamiin par chaltii ho
mai.n un chhupe hu.e daa.ero.n kaa zikr nahii.n karuu.ngaa
jo tumhe.n thaame hu.e ho sakte hai.n
unhe.n itnaa hii KHuubsuurat rahne do
jitne ki vo hai.n
mai.n ne tum par kabhii
KHayaalo.n me.n kap.De utaarne kaa khel nahii.n khelaa
tum KHuubsuurat daa.ero.n me.n rahtii ho
aur mai.n mushkil lakiiro.n me.n
me.n tumhaare liye kyaa kar saktaa huu.n
sivaa.e
apne mu.nh me.n us ge.nd ko le kar tumhaare paas aane ke
jise tum ne Thokar lagaa.ii

- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 42)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.