ubuurii mohabbat
art gallery me.n coffee ke sip lete
ghanTo.n ek duusre ko jhaa.nknaa
jinsii se zyaada nafsiyaatii mu'aamla hai
ham 'arse baa'd mil kar
un boso.n ko yaad kar rahe hai.n
jo campus me.n mutajassis nazro.n kii parvaa kiye baGair ham ne ek duusre par musallat kiye
aur ab bhii baasii nahii.n hu.e
ek duusre ke shaane par sar rakh kar bitaa.e pahar
kabhii chashm-zadan se zyaada nahii.n lage
ham us kaif me.n Duubte jaa rahe hai.n
jahaan lamho.n kaa safar qarno.n ko muhiit ho jaataa hai
haalaa.nki aaKHirii baar bichha.Dte ham ne ik duusre ko bhuul jaane kaa paimaan baa.ndhaa thaa
jur'a jur'a halaq se utartii coffee hame.n ek duusre ke qariib laa rahii hai
aur ham bhuul rahe hai.n
ki baahar ko.ii ham dono.n ke intizaar me.n hai
jis se ham 'umr bhar kaa paimaan baa.ndh chuke hai.n
bilkul pahle kii tarah

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.