viiraan kokh
din baa.njh ho chukaa hai
taariikii mu.nh khole saamne kha.Dii hai
aa.nsu.o.n kii Gizaa lene ko
vo to guzaaraa kar saktii hai lekin
us ke peT me.n mahruumiyo.n ka bachcha
bhuuk se bulbulaa rahaa hai
vo vahshat ke aage kaasa liye
pur-ummiid kha.Dii hai ki ko.ii
sulagtii chaahat ko.ii kasak uThe
use ab bhii vahii ikkaa dukkaa
ruumaanvii yaade.n yaad hai.n
jab pahlii daf'a
mu.nDer par kuhniyaa.n Teke la.Dke ne salaam-nazar se use muKHaatib kiyaa thaa
use yaad hai ki us ne use nazar-andaaz kar ke
jab do qadam aage ba.Dhaa.e to us ne kankarii phe.nkii
vo samajh ga.ii
kachchii 'umr kii la.Dkiyaa.n nahii.n jaantii.n ki aashob-e-aagahii se ba.Daa 'azaab zamiin vaalo.n par aaj tak nahii.n utraa
vo la.Dkii tiisrii aa.nkh ke saahil par kha.Dii
chilman haTaane ko be-qaraar
ek maGmuum yaad kii tag-o-dau kartii
kuuza-gar ban jaatii hai
jo chaak par ek yaad bun rahii hai
magar usii dauraan
us la.Dke ke pairahan se niklii hu.ii
mahak kii pahlii lapak
use apne hisaar me.n le letii hai
iztiraabii kaifiyat me.n
pasiine se sharaabor
vo u.ngliyo.n ke poro.n se
palko.n ke pasiine ke chand qatre
apne halaq me.n utaar detii hai
zindagii kii haqiiqat jaan jaatii hai
din baa.njh ho chukaa hai
taariikii mu.nh khole saamne kha.Dii hai
aa.nsu.o.n kii Gizaa lene ko
vo to guzaaraa kar saktii hai lekin
us ke peT me.n mahruumiyo.n ka bachcha
bhuuk se bulbulaa rahaa hai
vo vahshat ke aage kaasa liye
pur-ummiid kha.Dii hai ki ko.ii
sulagtii chaahat ko.ii kasak uThe
use ab bhii vahii ikkaa dukkaa
ruumaanvii yaade.n yaad hai.n
jab pahlii daf'a
mu.nDer par kuhniyaa.n Teke la.Dke ne salaam-nazar se use muKHaatib kiyaa thaa
use yaad hai ki us ne use nazar-andaaz kar ke
jab do qadam aage ba.Dhaa.e to us ne kankarii phe.nkii
vo samajh ga.ii
kachchii 'umr kii la.Dkiyaa.n nahii.n jaantii.n ki aashob-e-aagahii se ba.Daa 'azaab zamiin vaalo.n par aaj tak nahii.n utraa
vo la.Dkii tiisrii aa.nkh ke saahil par kha.Dii
chilman haTaane ko be-qaraar
ek maGmuum yaad kii tag-o-dau kartii
kuuza-gar ban jaatii hai
jo chaak par ek yaad bun rahii hai
magar usii dauraan
us la.Dke ke pairahan se niklii hu.ii
mahak kii pahlii lapak
use apne hisaar me.n le letii hai
iztiraabii kaifiyat me.n
pasiine se sharaabor
vo u.ngliyo.n ke poro.n se
palko.n ke pasiine ke chand qatre
apne halaq me.n utaar detii hai
zindagii kii haqiiqat jaan jaatii hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.