Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagii hamaare liye kitnaa aasaan kar dii ga.ii hai

Afzal Ahmad Syed

zindagii hamaare liye kitnaa aasaan kar dii ga.ii hai

Afzal Ahmad Syed

MORE BYAfzal Ahmad Syed

    zindagii hamaare liye kitnaa aasaan kar dii ga.ii hai

    ham kisii bhii ri.aayatii faroKHt me.n

    kitaabe.n

    kap.De juute

    haasil kar sakte hai.n

    jaisaa ki gandum hame.n imdaadii qiimat par muhayyaa kii jaatii hai

    agar ham chaahe.n

    kisii bhii kaar-KHaane ke darvaaze se

    bachcho.n ke liye

    rad-karda biscuit KHariid sakte hai.n

    tamaam tayyaaro.n rail-gaa.Diyo.n baso.n me.n hamaare liye

    sastii nashishte.n rakhii jaatii hai.n

    agar ham chaahe.n

    maamuulii zaruurat kii qiimat par

    theater me.n aaKHirii qataar me.n baiTh sakte hai.n

    ham kisii ko bhii yaad aa sakte hai.n

    jab use ko.ii aur yaad na aa rahaa ho

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now