chaaliswan din
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
ajab vo vaqt thā
chāroñ taraf jismoñ kī daldal thī
barahna mard vazn
retīle sāhil par paḌe
ik dūsre ko chūmte rahe
kisī lab par na thī hamd-o-sanā
aur uñgliyāñ
tasbīh ke dānoñ ko sa.ī-e-rā.egāñ gintīñ
ḳhudā barham huā
us ne samundar kī tahoñ meñ aag raushan kī
samundar khaul kar laavā banā
aur sāhiloñ ko kaaT kar niklā
har ik jānib samundar hī samundar thā
koī aadam na ādam-zād baaqī thā
bas ik kashtī thī sat.h-e-āb par
jis ko koī sāhil na miltā thā
vo din chālīsvāñ thā
jab ḳhudā ne mehrbānī kī
samundar ko sameTā
sāhiloñ kī ret chamkā.ī
vo pahlī sub.h thī
jab sab ke hoñToñ par
ḳhudā kī hamd thī
tasbīh ke daane chamakte the
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
ajab wo waqt tha
chaaron taraf jismon ki daldal thi
barahna mard wazn
retile sahil par paDe
ek dusre ko chumte rahe
kisi lab par na thi hamd-o-sana
aur ungliyan
tasbih ke danon ko sai-e-raegan gintin
KHuda barham hua
us ne samundar ki tahon mein aag raushan ki
samundar khaul kar lawa bana
aur sahilon ko kaT kar nikla
har ek jaanib samundar hi samundar tha
koi aadam na aadam-zad baqi tha
bas ek kashti thi sath-e-ab par
jis ko koi sahil na milta tha
wo din chaaliswan tha
jab KHuda ne mehrbani ki
samundar ko sameTa
sahilon ki ret chamkai
wo pahli subh thi
jab sab ke honTon par
KHuda ki hamd thi
tasbih ke dane chamakte the
- Book : purani baat hai (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.