dua
duā
duur tak ek ḳhalā
lab pe hai harf-e-duā
dasht-e-mahrūm-e-sadā
koī āvāz na rañg
koī ḳhvāhish na umañg
dil meñ ik sard sī jañg
aañkh se ashk ravāñ
kashish-e-bāġh-e-jināñ
merī auqāt kahāñ
apnī āvāz kā Dar
shola-e-sāz kā Dar
dil ke har raaz kā Dar
har taraf jalva-fagan
ek ḳhāmosh kiran
har fashāñ ruuh ki tan
aaj kaise ho bayāñ
tujh pe har baat ayaañ
tū qarīb-e-rag-e-jāñ
dua
dur tak ek KHala
lab pe hai harf-e-dua
dasht-e-mahrum-e-sada
koi aawaz na rang
koi KHwahish na umang
dil mein ek sard si jang
aankh se ashk rawan
kashish-e-bagh-e-jinan
meri auqat kahan
apni aawaz ka Dar
shola-e-saz ka Dar
dil ke har raaz ka Dar
har taraf jalwa-fagan
ek KHamosh kiran
har fashan ruh ki tan
aaj kaise ho bayan
tujh pe har baat ayan
tu qarib-e-rag-e-jaan
- Book : Dastavez (Pg. 433)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.