ruh-e-awara
yās-ḳhez sub.hoñ se
be-sukūn shāmoñ se
bhāgne kī kāvish ne
kitnī rahguzāroñ ke
pech-o-ḳham ke jalvoñ se
āshnā karāyā hai
dar-ba-dar phirāyā hai
jaane kab ye hosh aayā
sub.h-o-shām be-ma.anī
be-sukūn-e-be-ummīd
phir to silsila niklā
lamha-hā-e-kāvish kā
chain kho gayā din kā
niiñd uḌ ga.ī shab kī
justujū kā ye chakkar
khīñch le gayā har pal
jaane kis taraf lekin
har qadam huā ehsās
maiñ gunāh kartā huuñ
umr kyuuñ gañvātā huuñ
kāvishoñ kā kyā hāsil
har qadam sameTe haiñ
ḳhaar nā-umīdī ke
ek din kā qissa hai
chalte chalte pahuñchā huuñ
ik jagah jo vīrāñ thī
kuchh daraḳht phaile the
jā-ba-jā pareshāñ se
ik daraḳht par gidh the
intizār meñ baiThe
aur maqbare the kuchh
pur-sukūn thā māhaul
dil-pasand thā behad
jaane kyuuñ ye lagtā thā
apnī sub.h shāmoñ se
apnī be-sukūnī se
apnī nā-umīdī se
chhūTne kā vaqt aayā
pai-ba-pai har ik lamha
hosh ho rahe the ġham
aur dil ko lagtā thā
ziist vahm ho jaise
ḳhvāb yā ki afsāna
daf.atan uThī ik chīḳh
ruuh tak taḌap uTThī
chīḳh jaane kis kī hai
haa.e ye to merī hai
aur barq kī sūrat
maiñ vahāñ se palTā huuñ
is ḳhamosh aalam se
be-ḳhudī kī duniyā se
jab palaT ke dekhā hai
ruuh muskurātī thī
merī rūh-e-āvāra
aur hasīn lagtī thī
yas-KHez subhon se
be-sukun shamon se
bhagne ki kawish ne
kitni rahguzaron ke
pech-o-KHam ke jalwon se
aashna karaya hai
dar-ba-dar phiraya hai
jaane kab ye hosh aaya
subh-o-sham be-mani
be-sukun-e-be-ummid
phir to silsila nikla
lamha-ha-e-kawish ka
chain kho gaya din ka
nind uD gai shab ki
justuju ka ye chakkar
khinch le gaya har pal
jaane kis taraf lekin
har qadam hua ehsas
main gunah karta hun
umr kyun ganwata hun
kawishon ka kya hasil
har qadam sameTe hain
KHar na-umidi ke
ek din ka qissa hai
chalte chalte pahuncha hun
ek jagah jo viran thi
kuchh daraKHt phaile the
ja-ba-ja pareshan se
ek daraKHt par gidh the
intizar mein baiThe
aur maqbare the kuchh
pur-sukun tha mahaul
dil-pasand tha behad
jaane kyun ye lagta tha
apni subh shamon se
apni be-sukuni se
apni na-umidi se
chhuTne ka waqt aaya
pai-ba-pai har ek lamha
hosh ho rahe the gham
aur dil ko lagta tha
zist wahm ho jaise
KHwab ya ki afsana
dafatan uThi ek chiKH
ruh tak taDap uTThi
chiKH jaane kis ki hai
hae ye to meri hai
aur barq ki surat
main wahan se palTa hun
is KHamosh aalam se
be-KHudi ki duniya se
jab palaT ke dekha hai
ruh muskuraati thi
meri ruh-e-awara
aur hasin lagti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.