mazdur
shāhid-e-dahr kī tasvīr banāne vaale
apnī tasvīr kī jānib bhī zarā ek nazar
ai har ik zarre kī taqdīr banāne vaale
apnī taqdīr ke ḳhākoñ ko farāmosh na kar
terī taqdīr hai ā.īna-e-taqdīr jahāñ
ḳhuub ma.alūm hai terā ġham-e-tanhā mujh ko
tujh meñ uThne ke nishāñ tujh meñ sambhalne ke nishāñ
terī sūrat meñ nazar aatā hai fardā mujh ko
muntashir ho ke zamāne meñ huā ḳhār-o-zabūñ
ho munazzam to qavī tujh sā zamāne meñ nahīñ
an-ginat haath tire jab bhī uThe haiñ mil kar
tere qadmoñ pe jhukī aa ke chaTānoñ kī jabīñ
ḳhāliq-e-nān-e-javīñ tū hai ziyāñ terī hai
fikr kī baat nahīñ saarā jahāñ terā hai
quvvateñ tujh meñ jo haiñ un kī ḳhabar tujh ko nahīñ
jo ayaañ hai vo tirā hai jo hai nihāñ terā hai
ġham ko siine meñ dabā rakkhā hai tū ne lekin
ġham baḌī chiiz hai to us se koī kaam to le
tishnagī baḌh ke kahīñ terā galā ghoñT na de
mai bhī mil jā.egī saaqī se magar jaam to le
shahid-e-dahr ki taswir banane wale
apni taswir ki jaanib bhi zara ek nazar
ai har ek zarre ki taqdir banane wale
apni taqdir ke KHakon ko faramosh na kar
teri taqdir hai aaina-e-taqdir jahan
KHub malum hai tera gham-e-tanha mujh ko
tujh mein uThne ke nishan tujh mein sambhalne ke nishan
teri surat mein nazar aata hai farda mujh ko
muntashir ho ke zamane mein hua KHar-o-zabun
ho munazzam to qawi tujh sa zamane mein nahin
an-ginat hath tere jab bhi uThe hain mil kar
tere qadmon pe jhuki aa ke chaTanon ki jabin
KHaliq-e-nan-e-jawin tu hai ziyan teri hai
fikr ki baat nahin sara jahan tera hai
quwwaten tujh mein jo hain un ki KHabar tujh ko nahin
jo ayan hai wo tera hai jo hai nihan tera hai
gham ko sine mein daba rakkha hai tu ne lekin
gham baDi chiz hai to us se koi kaam to le
tishnagi baDh ke kahin tera gala ghonT na de
mai bhi mil jaegi saqi se magar jam to le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.