ye rañg terā
ye rañg merā
hasīn-tar hai
hasīñ rahegā
zamīñ kī barakat
ye gandumī rañg
sunahrī ḳhushiyoñ kī rut kī mānind
javāñ rahegā
ise banānā sañvārnā hai
to is kī ḳhidmat karoge āḳhir
ki ḳhidmatoñ se ye rañg apnā
zamīñ kī mānind sadā rahegā
javāñ rahegā
tujhe ḳhabar hai
ye rang tera
ye rang mera
hasin-tar hai
hasin rahega
zamin ki barakat
ye gandumi rang
sunahri KHushiyon ki rut ki manind
jawan rahega
ise banana sanwarna hai
to is ki KHidmat karoge aaKHir
ki KHidmaton se ye rang apna
zamin ki manind sada rahega
jawan rahega
tujhe KHabar hai
- Book : siip (Magzin) (Pg. 171)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.