hum kahan aa gae
ham kahāñ aa ga.e
saare be-samt haiñ
qāfile kārvāñ sārbāñ
ek sailāb-e-ādam ravāñ chaar sū
ik tag-o-tāz-e-kār-e-jahāñ
āsmāñ se pare sair-e-sayyārgāñ
aur zamīñ-doz pahnā.iyoñ meñ
nigāhoñ kī hairāniyāñ
ab kahīñ bhī nahīñ
mātam-e-marg-e-be-chārgāñ
har adālat meñ insāf kī arziyāñ
bātiloñ kī tarafdāriyāñ
phir uThā le ga.e bānū-e-be-ridā
saare chup-chāp haiñ
koī pursāñ nahīñ
giryā-e-tifl-e-be-chārgāñ
koī suntā nahīñ
ḳhvāb bīmār āñkhoñ meñ marte hue
ḳhud-kushī chār-sū bain kartī huī
ye mirī arz-e-jannat-nishāñ
jo pukārī ga.ī
qibla-e-ārfāñ ma.abad-e-nūriyāñ
kūcha-e-dilbarāñ bastī-e-āshiqāñ
maqtal-e-harf-o-saut-o-sadā ban ga.ī
ab lahū-rañg haiñ saare tishna-labāñ
sādiq-o-sādiqa
nāz-bardār-e-āshuftagāñ
hum kahan aa gae
sare be-samt hain
qafile karwan sarban
ek sailab-e-adam rawan chaar su
ek tag-o-taz-e-kar-e-jahan
aasman se pare sair-e-sayyargan
aur zamin-doz pahnaiyon mein
nigahon ki hairaniyan
ab kahin bhi nahin
matam-e-marg-e-be-chaargan
har adalat mein insaf ki arziyan
baatilon ki tarafdariyan
phir uTha le gae banu-e-be-rida
sare chup-chap hain
koi pursan nahin
girya-e-tifl-e-be-chaargan
koi sunta nahin
KHwab bimar aankhon mein marte hue
KHud-kushi chaar-su bain karti hui
ye meri arz-e-jannat-nishan
jo pukari gai
qibla-e-arfan mabad-e-nuriyan
kucha-e-dilbaran basti-e-ashiqan
maqtal-e-harf-o-saut-o-sada ban gai
ab lahu-rang hain sare tishna-laban
sadiq-o-sadiqa
naz-bardar-e-ashuftagan
- Book : Sang-e-sada (Pg. 217)
- Author : Zubair Rizvi
- Publication : Zehn-e-jadid (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.