la-yaKHul
1
mirī ḳhalvat ke haale meñ tumhārā ye tilsmātī badan
ik nuur meñ Duubā huā bahtā huā dhārā
ye madh-mātā ye ḳhud ko sar-ba-sar bhūlā huā
behad nirālā an-chhuā saayā
havā ke narm so.e so.e lahje kī tarah mas ho ke
merī ruuh meñ ātish kā bhaḌkātā huā saayā
ye saayā raushnī hī raushnī hai sar se paañv tak
ye saayā zindagī hī zindagī hai sar se paañv tak
ye vasl-e-tām kā lamha vo lamha hai
ki jab ḳhud vaqt ruk jaatā hai
jaise shaam ko dariyā bhī ruk kar ḳhud farāmoshī ke gahre saañs lete haiñ
2
udhar jab vaqt kā sayyāl dhārā
ek do lamhoñ ko ruktā hai
na jaane kyuuñ mire andar lahū kā tez-tar ho kar
harīm-e-dil kī dīvāroñ se apnā sar paTaktā hai
ye pīr-e-rome ke marqad pe raqsāñ
un ḳhudā-āgāh durveshoñ kī sūrat raqs kartā hai
jinheñ ḳhud apne tan-man kī koī sudh-budh nahīñ rahtī
vo sar-tā-pā faqat rūh-e-tām kī tamsīl lagte haiñ
kisī aise abad lamhe meñ jism-o-jāñ kī is vahdat kā koī naam to hogā
sarāpā raqs kī us hālat-e-be-nām kā anjām to hogā
tumhī bolo ki us kā naam kyā anjām kyā hai
haañ tumhī bolo girah kholo
1
meri KHalwat ke haale mein tumhaara ye tilsmati badan
ek nur mein Duba hua bahta hua dhaara
ye madh-mata ye KHud ko sar-ba-sar bhula hua
behad nirala an-chhua saya
hawa ke narm soe soe lahje ki tarah mas ho ke
meri ruh mein aatish ka bhaDkata hua saya
ye saya raushni hi raushni hai sar se panw tak
ye saya zindagi hi zindagi hai sar se panw tak
ye wasl-e-tam ka lamha wo lamha hai
ki jab KHud waqt ruk jata hai
jaise sham ko dariya bhi ruk kar KHud faramoshi ke gahre sans lete hain
2
udhar jab waqt ka sayyal dhaara
ek do lamhon ko rukta hai
na jaane kyun mere andar lahu ka tez-tar ho kar
harim-e-dil ki diwaron se apna sar paTakta hai
ye pir-e-rome ke marqad pe raqsan
un KHuda-agah durweshon ki surat raqs karta hai
jinhen KHud apne tan-man ki koi sudh-budh nahin rahti
wo sar-ta-pa faqat ruh-e-tam ki tamsil lagte hain
kisi aise abad lamhe mein jism-o-jaan ki is wahdat ka koi nam to hoga
sarapa raqs ki us haalat-e-be-nam ka anjam to hoga
tumhi bolo ki us ka nam kya anjam kya hai
han tumhi bolo girah kholo
- Book : Shaikh-e-Zaryab (Pg. 90)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.