haw-hu
rāste ajnabī manzileñ ajnabī
hāzirīn ajnabī mahfileñ ajnabī
zindagī kuchh nahīñ zindagī ajnabī
aur phir mere dil maut bhī ajnabī
yaar bhī ajnabī aur aġhyār bhī
radio T.v saare ye aḳhbār bhī
hai zamīñ ajnabī āsmāñ ajnabī
aur to aur kaun-o-makāñ ajnabī
sāmne ā.īne ke jo maiñ aa gayā
ā.īne ne kahā kaun hai tū batā
kuchh to apnā ta.āruf bhī mujh se karā
maiñ hañsā aur hañs ke kahne lagā
maiñ bhī huuñ ajnabī aur tū ajnabī
shakl merī tire rū-ba-rū ajnabī
maiñ bhī hairān huuñ tū bhī hairān hai
shahr sunsān hai dil bhī vīrān hai
Dher miTTī kā bas apnī pahchān hai
sāya-e-zulf-e-barham meñ le chal mujhe
varna mai-ḳhāna-e-ġham meñ le chal mujhe
qatra-e-ashk yā qatra-e-mai piyūñ
kyuuñ na sarmāya-e-zīst un ko kahūñ
dostī dushmanī guftugū ajnabī
aaj sab kuchh ba-juz hāv-hū ajnabī
raste ajnabi manzilen ajnabi
hazirin ajnabi mahfilen ajnabi
zindagi kuchh nahin zindagi ajnabi
aur phir mere dil maut bhi ajnabi
yar bhi ajnabi aur aghyar bhi
radio Tw sare ye aKHbar bhi
hai zamin ajnabi aasman ajnabi
aur to aur kaun-o-makan ajnabi
samne aaine ke jo main aa gaya
aaine ne kaha kaun hai tu bata
kuchh to apna taaruf bhi mujh se kara
main hansa aur hans ke kahne laga
main bhi hun ajnabi aur tu ajnabi
shakl meri tere ru-ba-ru ajnabi
main bhi hairan hun tu bhi hairan hai
shahr sunsan hai dil bhi viran hai
Dher miTTi ka bas apni pahchan hai
saya-e-zulf-e-barham mein le chal mujhe
warna mai-KHana-e-gham mein le chal mujhe
qatra-e-ashk ya qatra-e-mai piyun
kyun na sarmaya-e-zist un ko kahun
dosti dushmani guftugu ajnabi
aaj sab kuchh ba-juz haw-hu ajnabi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.