aalam kitne
uf ye shabnam se chhalakte hue phūloñ ke ayāġh
is chaman meñ haiñ abhī dīda-e-pur-nam kitne
kitne ġhunche haiñ jigar-chāk gulistāñ meñ abhī
har taraf zaḳhm haiñ be-minnat-e-marham kitne
kitne sīnoñ meñ shikasta haiñ abhī dil ke rabāb
lab-e-ḳhāmosh pe haiñ naġhma-e-mātam kitne
kitne māthoñ ke abhī sard haiñ rañgīn gulāb
gard afshāñ haiñ abhī gesu-e-pur-ḳham kitne
zehn-e-ādam meñ hai afkār kī duniyā ābād
qalb-e-insāñ meñ amānat haiñ abhī ġham kitne
dhuñdle dhuñdle se sitāre haiñ ufuq par larzāñ
zindagānī ke hasīñ ḳhvāb haiñ mub.ham kitne
aaj to kākul-e-gītī na sañvar jā.egī
silsile shauq ke hoñge abhī barham kitne
jazb hoñge abhī is ḳhāk-e-chaman meñ ai dost
ashk ban ban ke guhar-reza-e-shabnam kitne
abhī gūñjeñge salāsil kī sadā.eñ kitnī
aur hoñge abhī zanjīr se mātam kitne
zindagī rāh-e-tasādum meñ bhaTaktī hai abhī
vaqt ke lab pe abhī uzr haiñ paiham kitne
ik zarā sabr ki in surḳh ghaTāoñ ke tale
sar-nigūñ hoñge yahāñ ḳhaak pe parcham kitne
lāla-o-gul ke tabassum se shafaq phūlegī
har taraf rañg nazar ā.eñge bāham kitne
ḳhūn-e-dil meñ hai nihāñ shola-e-sad-rañg-e-bahār
is gulistāñ meñ haiñ is raaz ke mahram kitne
inhī zarroñ se ubhar ā.eñge kitne mah-o-mehr
isī aalam se sañvar jā.eñge aalam kitne
uf ye shabnam se chhalakte hue phulon ke ayagh
is chaman mein hain abhi dida-e-pur-nam kitne
kitne ghunche hain jigar-chaak gulistan mein abhi
har taraf zaKHm hain be-minnat-e-marham kitne
kitne sinon mein shikasta hain abhi dil ke rabab
lab-e-KHamosh pe hain naghma-e-matam kitne
kitne mathon ke abhi sard hain rangin gulab
gard afshan hain abhi gesu-e-pur-KHam kitne
zehn-e-adam mein hai afkar ki duniya aabaad
qalb-e-insan mein amanat hain abhi gham kitne
dhundle dhundle se sitare hain ufuq par larzan
zindagani ke hasin KHwab hain mubham kitne
aaj to kakul-e-giti na sanwar jaegi
silsile shauq ke honge abhi barham kitne
jazb honge abhi is KHak-e-chaman mein ai dost
ashk ban ban ke guhar-reza-e-shabnam kitne
abhi gunjenge salasil ki sadaen kitni
aur honge abhi zanjir se matam kitne
zindagi rah-e-tasadum mein bhaTakti hai abhi
waqt ke lab pe abhi uzr hain paiham kitne
ek zara sabr ki in surKH ghaTaon ke tale
sar-nigun honge yahan KHak pe parcham kitne
lala-o-gul ke tabassum se shafaq phulegi
har taraf rang nazar aaenge baham kitne
KHun-e-dil mein hai nihan shola-e-sad-rang-e-bahaar
is gulistan mein hain is raaz ke mahram kitne
inhi zarron se ubhar aaenge kitne mah-o-mehr
isi aalam se sanwar jaenge aalam kitne
- Book : Muntakhab Nazmen (Pg. 27)
- Author : idarah adab lateef
- Publication : Maktaba Urdu lahore (1945)
- Edition : 1945
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.