14
sunā hai maiñ ne ki ab sitāre
tumhārī dahlīz se guzar kar
bikharne lagte haiñ āsmāñ par
azal se ābād is jahāñ par
sunā hai maiñ ne ki kuchh parinde
havā se mahrūm bādbāñ par
tumhārī āñkhoñ ke sāmne se
guzar ke din raat baiThte haiñ
galī meñ fōtpath ke kināre
sunā hai kuchh phuul khil uThe haiñ
jinheñ koī toḌtā nahīñ hai
saḌak pe kuchh ḳhvāb haiñ adhūre
jinheñ koī joḌtā nahīñ hai
suna hai main ne ki ab sitare
tumhaari dahliz se guzar kar
bikharne lagte hain aasman par
azal se aabaad is jahan par
suna hai main ne ki kuchh parinde
hawa se mahrum baadban par
tumhaari aankhon ke samne se
guzar ke din raat baiThte hain
gali mein footpath ke kinare
suna hai kuchh phul khil uThe hain
jinhen koi toDta nahin hai
saDak pe kuchh KHwab hain adhure
jinhen koi joDta nahin hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 591)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.