15 august (1949)
jab ḳhurshīd-e-āzādī kī phūTī thī kiran vo din aayā
chamke the ziyā-e-ḳhās se jab kohsār-o-daman vo din aayā
jab qaid-e-qafas se chhūTe the murġhān-e-chaman vo din aayā
be-teġh-o-sināñ jab badlī thī taqdīr-e-vatan vo din aayā
hañgām-e-tarab hai ahl-e-vatan hañgām-e-tarab hai ġham na karo
āhista-ravī hī manzil hai manzil kā yūñhī mātam na karo
bīmār-e-vatan ne paa.ī hai mushkil se davā-e-āzādī
kānoñ ko sunā.ī detī hai har samt nidā-e-āzādī
har ḳhurd-o-kalāñ har pīr-o-javāñ hai aaj nidā-e-āzādī
ye koshish sab par lāzim hai daa.im ho baqā-e-āzādī
āzādī-e-nau-maulūd ko ab parvān chaḌhāo to jāneñ
mushkil hai baḌī is mushkil ko āsān banāo to jāneñ
aġhyār kī ta.alīmāt pe to sar dhunnā kār-e-tiflāñ hai
āvāra-mizājī ke sadqe āvāra-mizājī āsāñ hai
rah-e-pur-ḳhār-e-amal meñ jo pā-mard rahe vo insāñ hai
sāhil se use kuchh kaam nahīñ jo vāqif-e-ishrat-e-tūfāñ hai
is yaum-e-mubārak par mil kar jai hind pukāro ahl-e-vatan
jo jazba-e-ḳhidmat sust hai ab phir us ko ubhāro ahl-e-vatan
jab KHurshid-e-azadi ki phuTi thi kiran wo din aaya
chamke the ziya-e-KHas se jab kohsar-o-daman wo din aaya
jab qaid-e-qafas se chhuTe the murghan-e-chaman wo din aaya
be-tegh-o-sinan jab badli thi taqdir-e-watan wo din aaya
hangam-e-tarab hai ahl-e-watan hangam-e-tarab hai gham na karo
aahista-rawi hi manzil hai manzil ka yunhi matam na karo
bimar-e-watan ne pai hai mushkil se dawa-e-azadi
kanon ko sunai deti hai har samt nida-e-azadi
har KHurd-o-kalan har pir-o-jawan hai aaj nida-e-azadi
ye koshish sab par lazim hai daim ho baqa-e-azadi
aazadi-e-nau-maulud ko ab parwan chaDhao to jaanen
mushkil hai baDi is mushkil ko aasan banao to jaanen
aghyar ki talimat pe to sar dhunna kar-e-tiflan hai
aawara-mizaji ke sadqe aawara-mizaji aasan hai
rah-e-pur-KHar-e-amal mein jo pa-mard rahe wo insan hai
sahil se use kuchh kaam nahin jo waqif-e-ishrat-e-tufan hai
is yaum-e-mubarak par mil kar jai hind pukaro ahl-e-watan
jo jazba-e-KHidmat sust hai ab phir us ko ubhaaro ahl-e-watan
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 417)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Hujwiri Publisher H. 811, A Androon, Akbari Gate, Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.