scent usama
scent usāma
ab rozāna
nau se gyārah
apne pyāre maddāhoñ se
torā-borā ke ġhāroñ
yā dār-ul-harb meñ milte haiñ
jahāñ bhī vo jā ke Thahre haiñ
gaane par pābandī hai
phuul lagāne aur tasvīr
utarvāne par pābandī he
aurteñ nā-mahram ke saath nazar aa.eñ to
koḌe aur patthar maare jā.eñge
america ke gun gaane vāloñ ke
haath pair aur sar bhī utāre jā.eñge
ḳhabar nahīñ ki sīdhī raah pe chalne vaale
maġhrib meñ haiñ yā mashriq meñ
ye bhī yaad nahīñ ki bachche āḳhirī baar
kab schōl ga.e
qadam qadam par kāñTe aur bārūdī surañg bichhī huī haiñ
jin ko nākāra karne ke saare mantar
hāthoñ meñ bandūq uThā ke
scent usāma bhuul ga.e
jaan bachāne vaalī davāoñ kī
yārab kitnī qillat hai
ki bechāre har bande ko
jaan dene kī
na.ī adā.eñ sikhlāte haiñ
ab roz
nau se gyārah
apne pyāre maddāhoñ ko
jannat meñ le jaane vaalī
ka.ī duā.eñ sikhlāte haiñ
scent usama
ab rozana
nau se gyarah
apne pyare maddahon se
tora-bora ke ghaaron
ya dar-ul-harb mein milte hain
jahan bhi wo ja ke Thahre hain
gane par pabandi hai
phul lagane aur taswir
utarwane par pabandi he
aurten na-mahram ke sath nazar aaen to
koDe aur patthar mare jaenge
america ke gun gane walon ke
hath pair aur sar bhi utare jaenge
KHabar nahin ki sidhi rah pe chalne wale
maghrib mein hain ya mashriq mein
ye bhi yaad nahin ki bachche aaKHiri bar
kab school gae
qadam qadam par kanTe aur barudi surang bichhi hui hain
jin ko nakara karne ke sare mantar
hathon mein banduq uTha ke
scent usama bhul gae
jaan bachane wali dawaon ki
yarab kitni qillat hai
ki bechaare har bande ko
jaan dene ki
nai adaen sikhlate hain
ab roz
nau se gyarah
apne pyare maddahon ko
jannat mein le jaane wali
kai duaen sikhlate hain
- Book : saarii nazmen (Pg. 556)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.