16 december armi public school par hamla
merā bachcha rāham jab schōl se lauTā
maiñ ne us se basta apne haath le kar us se pūchhā
itnā bhārī kyuuñ hai basta
tiin kitābeñ le kar tum schōl ga.e the
ik paanī kī botal thī aur lunch box thā
itnā bhārī kyuuñ hai basta
bolā baabā maiñ kyā bolūñ
rose to ye halkā hotā hai
aaj na jaane bhārī kyuuñ hai
mujh ko kuchh tashvīsh huī to
maiñ ne us kā basta kholā
khol ke dekhā
tiin kitābeñ nahīñ thiiñ us meñ chhe thiiñ
paanī kī botal bhī ek nahīñ thī
do do thiiñ
lunch box bhī do the lekin ek hī jaise
rāham kā kuchh ḳhālī thā par dūsrā puurā bharā huā thā
sochā kaise ho saktā hai
ye to rāham kā basta hai
ik baste meñ saarī chīzeñ do do kyuuñ haiñ
ek dam mujh ko yaad aayā ki
kal schōl ke chhalnī bachchoñ meñ ik bachcha
rāham jitnī umr kā bhī thā
bilkul rāham ke jaisā thā
rāham jaisā hī basta thā
paanī botal bhī vaisī
lunch box kā color vahī thā
vo bhī merā hī bachcha thā
vo bhī kal schōl gayā thā
aaj us ne schōl kī chhuTTī kar lī hai
ab vo chhuTTī par hī rahegā
us kā basta roz uThā kar
merā bachcha ghar aa.egā
mera bachcha raham jab school se lauTa
main ne us se basta apne hath le kar us se puchha
itna bhaari kyun hai basta
tin kitaben le kar tum school gae the
ek pani ki botal thi aur lunch box tha
itna bhaari kyun hai basta
bola baba main kya bolun
rose to ye halka hota hai
aaj na jaane bhaari kyun hai
mujh ko kuchh tashwish hui to
main ne us ka basta khola
khol ke dekha
tin kitaben nahin thin us mein chhe thin
pani ki botal bhi ek nahin thi
do do thin
lunch box bhi do the lekin ek hi jaise
raham ka kuchh KHali tha par dusra pura bhara hua tha
socha kaise ho sakta hai
ye to raham ka basta hai
ek baste mein sari chizen do do kyun hain
ek dam mujh ko yaad aaya ki
kal school ke chhalni bachchon mein ek bachcha
raham jitni umr ka bhi tha
bilkul raham ke jaisa tha
raham jaisa hi basta tha
pani botal bhi waisi
lunch box ka color wahi tha
wo bhi mera hi bachcha tha
wo bhi kal school gaya tha
aaj us ne school ki chhuTTi kar li hai
ab wo chhuTTi par hi rahega
us ka basta roz uTha kar
mera bachcha ghar aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.