sub.h ke tiin bajne vaale haiñ
niiñd hai duur merī āñkhoñ se
karvaTeñ yuuñ badal rahā huuñ maiñ
āḳhirī raat jaise rogī kī
chāñdnī ris rahī hai khiḌkī se
ok meñ bhar ke pī rahā huuñ maiñ
yaad sī aa rahī hai bachpan kī
āsmāñ bhar rahā hai tāroñ se
jhīñguroñ kī sadā hai kānoñ meñ
jugnuoñ kī ka.ī qatāreñ haiñ
ik chatā.ī bichhī hai āñgan meñ
jis pe leTe hue haiñ bābū-jī
paas baiThā huā huuñ maiñ un ke
gin rahā huuñ hasīn tāroñ ko
ek hairat hai merī āñkhoñ meñ
saat yā aaTh kā rahā hūñgā
sāmne mere thoḌī duurī par
ek chūlhā hai ḳhaas miTTī kā
khiir puurī pakā rahī hai maañ
man hī man gungunā rahī hai maañ
ghar ke chaukhaT ke paas hī maddhyam
ik nayā lālTain jaltā hai
dūsrī samt mere āñgan ke
saath bachhḌe ke gaay baiThī hai
kar rahī hai jugālī dhīre se
yaad ab miT rahī hai bachpan kī
sub.h ke pāñch baj chuke haiñ aur
chāñdnī jā chukī hai kamre se
ūñghtā hai vo āḳhirī taara
shor karne lage haiñ kuchh panchhī
ik muazzin azaan detā hai
baat kuchh aur der kī hī hai
surḳh sūraj dikhā.ī degā ab
phail jā.egī dhuup āhista
aur maiñ roz kī tarah apnī
laash hāthoñ meñ ḳhud uThā.ūñgā
aur bhaTkūñgā shahr meñ din-bhar
sirf do gaz kafan kī ḳhātir par
kaun jaane kafan mile na mile
ruuh ko ik badan mile na mile
subh ke tin bajne wale hain
nind hai dur meri aankhon se
karwaTen yun badal raha hun main
aaKHiri raat jaise rogi ki
chandni ris rahi hai khiDki se
ok mein bhar ke pi raha hun main
yaad si aa rahi hai bachpan ki
aasman bhar raha hai taron se
jhinguron ki sada hai kanon mein
jugnuon ki kai qataren hain
ek chatai bichhi hai aangan mein
jis pe leTe hue hain babu-ji
pas baiTha hua hun main un ke
gin raha hun hasin taron ko
ek hairat hai meri aankhon mein
sat ya aaTh ka raha hunga
samne mere thoDi duri par
ek chulha hai KHas miTTi ka
khir puri paka rahi hai man
man hi man gunguna rahi hai man
ghar ke chaukhaT ke pas hi maddhyam
ek naya lalTain jalta hai
dusri samt mere aangan ke
sath bachhDe ke gay baiThi hai
kar rahi hai jugali dhire se
yaad ab miT rahi hai bachpan ki
subh ke panch baj chuke hain aur
chandni ja chuki hai kamre se
unghta hai wo aaKHiri tara
shor karne lage hain kuchh panchhi
ek muazzin azan deta hai
baat kuchh aur der ki hi hai
surKH suraj dikhai dega ab
phail jaegi dhup aahista
aur main roz ki tarah apni
lash hathon mein KHud uThaunga
aur bhaTkunga shahr mein din-bhar
sirf do gaz kafan ki KHatir par
kaun jaane kafan mile na mile
ruh ko ek badan mile na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.