imkan
apnī ta.abīr ke sahrā meñ
jale ḳhvāboñ kī
is raakh ko tum
raakh ke Dher hī kyuuñ kahte ho
baḌh ke
us raakh ke siine meñ utar kar
DhūñDho
us kā imkān hai
tum raakh ke us Dher meñ bhī
chand chiñgāriyāñ rah rah ke damaktī dekho
aur shāyad tum ko
phir se jiine kā bahāna mil jaa.e
apni tabir ke sahra mein
jale KHwabon ki
is rakh ko tum
rakh ke Dher hi kyun kahte ho
baDh ke
us rakh ke sine mein utar kar
DhunDho
us ka imkan hai
tum rakh ke us Dher mein bhi
chand chingariyan rah rah ke damakti dekho
aur shayad tum ko
phir se jine ka bahana mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.