24-wan sal
seva.iyāñ khāne kā
man kartā hai
kab haare meñ rakhī
hāñDī utregī
kab maañ
seva.iyāñ parosegī
kab se
thālī liye khaḌī huuñ
pahle dhuāñ gahrā thā
āñkhoñ meñ chubhtā thā
khārā thā bahut
ab halkā hai
jhīna hai
ḳhushbū aatī hai dhueñ se
gur gur kī āvāzeñ
aane lagī hai maañ
hāñDī utaar lo
seva.iyāñ pak ga.ī haiñ
sewaiyan khane ka
man karta hai
kab haare mein rakhi
hanDi utregi
kab man
sewaiyan parosegi
kab se
thaali liye khaDi hun
pahle dhuan gahra tha
aankhon mein chubhta tha
khaara tha bahut
ab halka hai
jhina hai
KHushbu aati hai dhuen se
gur gur ki aawazen
aane lagi hai man
hanDi utar lo
sewaiyan pak gai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.