27
kisī din tumheñ yaad karte hue maiñ
chalā jā.ūñgā is jahāñ ke kināre
mohabbat bhare āsmāñ ke kināre
parinde mire saath jā.eñge shāyad
bahut der tak giit gā.eñge shāyad
magar tum koī giit suntī nahīñ ho
kisī ke liye phuul chuntī nahīñ ho
añdhere meñ kuchh yaad kartī nahīñ ho
mire rāste se guzartī nahīñ ho
tumheñ ek din meñ sitāra banā ke
samundar kā shāyad kinārā banā ke
shab-o-roz paanī pe chaltā rahūñgā
sitāre kī āñkhoñ meñ jaltā rahūñgā
kisi din tumhein yaad karte hue main
chala jaunga is jahan ke kinare
mohabbat bhare aasman ke kinare
parinde mere sath jaenge shayad
bahut der tak git gaenge shayad
magar tum koi git sunti nahin ho
kisi ke liye phul chunti nahin ho
andhere mein kuchh yaad karti nahin ho
mere raste se guzarti nahin ho
tumhein ek din mein sitara bana ke
samundar ka shayad kinara bana ke
shab-o-roz pani pe chalta rahunga
sitare ki aankhon mein jalta rahunga
- Book : saarii nazmen (Pg. 605)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.