sham se pahle ghar aa jaana
har din meñ va.ada kartā huuñ
shaam se pahle ghar ā.ūñgā
har din koī na koī mushkil
koī na koī kaam zarūrī hai
patthar ban kar
mere kāñch ke va.ade saare
chashm-e-zadan meñ kar detā hai reza reza
va.ada karte vaqt hamesha maiñ ye sochūñ
us kī mohabbat saare kāmoñ se afzal hai
vo ki mirī ġham-ḳhvār har ik lamha har pal hai
kaam magar jab sāmne aa.eñ
farz kī ahmiyat samjhā.eñ
farz nibhāne kī ḳhātir meñ
rose vafā ko bheñT chaḌhā duuñ
har din mein wada karta hun
sham se pahle ghar aaunga
har din koi na koi mushkil
koi na koi kaam zaruri hai
patthar ban kar
mere kanch ke wade sare
chashm-e-zadan mein kar deta hai reza reza
wada karte waqt hamesha main ye sochun
us ki mohabbat sare kaamon se afzal hai
wo ki meri gham-KHwar har ek lamha har pal hai
kaam magar jab samne aaen
farz ki ahmiyat samjhaen
farz nibhane ki KHatir mein
rose wafa ko bhenT chaDha dun
- Book : Seepiyon Ki Qaid men
- Author : Yaqoob Tasawwur
- Publication : Yaqoob Tasawwur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.