KHub-surati
chehre be-shumār chehre
nazar aate haiñ zindagī kī rāhoñ par
naak naqsh nahīñ ho bahut muḳhtalif
un meñ se ek hī chehra
sab se hasīn lagtā hai kyuuñ
jab haqīqat meñ aisā hai nahīñ
kyā sach hī kahā gayā hai ki
ḳhūb-sūratī
dekhne vāloñ kī āñkhoñ meñ bastī hai
yā phir ishq karne vaale
husn ko sahī pahchānte haiñ
ruuh kī nazroñ se
chehre be-shumar chehre
nazar aate hain zindagi ki rahon par
nak naqsh nahin ho bahut muKHtalif
un mein se ek hi chehra
sab se hasin lagta hai kyun
jab haqiqat mein aisa hai nahin
kya sach hi kaha gaya hai ki
KHub-surati
dekhne walon ki aankhon mein basti hai
ya phir ishq karne wale
husn ko sahi pahchante hain
ruh ki nazron se
- Book : Muhobbat Ke Saaye (Pg. 25)
- Author : Elizabeth Kurian Mona
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.