maiñ sitāroñ aur daraḳhtoñ kī ḳhāmoshī ko samajh saktā huuñ
maiñ insānoñ kī bāteñ samajhne se qāsir huuñ
maiñ insānoñ se nafrat nahīñ kartā
maiñ ek aurat se mohabbat kartā huuñ
maiñ duniyā ke rāstoñ par chalne se ma.azūr huuñ
maiñ akelā huuñ
maiñ logoñ meñ shāmil honā nahīñ chāhtā
maiñ āzād rahnā chāhtā huuñ
maiñ ḳhush rahnā chāhtā huuñ
maiñ mohabbat ke baġhair ḳhush nahīñ rah saktā
maiñ ek aurat kī mohabbat kā bhūkā huuñ
maiñ ek aurat kī mohabbat nahīñ pā sakā
maiñ tanhā.ī se nikalne kā rāsta nahīñ pā sakā
maiñ dukh meñ mubtalā huuñ
maiñ ek aurat ko samajhne se qāsir huuñ
maiñ ḳhāmoshī kī āvāzoñ ko samajh saktā huuñ
main sitaron aur daraKHton ki KHamoshi ko samajh sakta hun
main insanon ki baaten samajhne se qasir hun
main insanon se nafrat nahin karta
main ek aurat se mohabbat karta hun
main duniya ke raston par chalne se mazur hun
main akela hun
main logon mein shamil hona nahin chahta
main aazad rahna chahta hun
main KHush rahna chahta hun
main mohabbat ke baghair KHush nahin rah sakta
main ek aurat ki mohabbat ka bhuka hun
main ek aurat ki mohabbat nahin pa saka
main tanhai se nikalne ka rasta nahin pa saka
main dukh mein mubtala hun
main ek aurat ko samajhne se qasir hun
main KHamoshi ki aawazon ko samajh sakta hun
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 54)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.