34
ḳhudā gar hameñ ik parinda banātā
jahāñ meñ ham ik āshiyāna banāte
kisī sabz vaadī meñ apnā nasheman
yā sehn-e-chaman ko Thikāna banāte
kabhī uḌte bādal meñ hotā baserā
kabhī Dālte kunj-e-vahshat meñ Derā
kabhī dāman-e-koh hotā hamārā
kabhī bantā ghar ik nadī kā kinārā
kabhī giit gaate ghaTāoñ ke nīche
kabhī hote pāgal havāoñ ke pīchhe
fazāoñ meñ ham sub.h se shaam karte
añdhere se pahle zamīñ par utarte
koī gulistāñ mulk hotā hamārā
ham is ke liye ik tarāna banāte
ḳhudā gar hameñ ik parinda banātā
use ham parinde ḳhudā na banāte
KHuda gar hamein ek parinda banata
jahan mein hum ek aashiyana banate
kisi sabz wadi mein apna nasheman
ya sehn-e-chaman ko Thikana banate
kabhi uDte baadal mein hota basera
kabhi Dalte kunj-e-wahshat mein Dera
kabhi daman-e-koh hota hamara
kabhi banta ghar ek nadi ka kinara
kabhi git gate ghaTaon ke niche
kabhi hote pagal hawaon ke pichhe
fazaon mein hum subh se sham karte
andhere se pahle zamin par utarte
koi gulistan mulk hota hamara
hum is ke liye ek tarana banate
KHuda gar hamein ek parinda banata
use hum parinde KHuda na banate
- Book : saarii nazmen (Pg. 614)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.