bhaunre ki be-qarari
na vo ketkī kī phaban rahī
na vo motiyā kī adā rahī
na vo nastaran na saman rahī
na vo gul rahe na fazā rahī
na guloñ ke ab haiñ vo qahqahe
na vo bulbuloñ ke haiñ chahchahe
na ġhazal-sarā vo koī rahe
na vo qumriyoñ kī sadā rahī
na vo sarv hai na vo āb-e-jū
na vo ham-safīr haiñ ḳhush-gulū
na banafsha hai na vo nāz-e-bū
na vo ja.afrī na jafā rahī
na vo sub.h kī haiñ tajalliyāñ
na shafaq kī aah vo jhalkiyāñ
na vo uudī uudī haiñ badliyāñ
na vo bhīnī bhīnī havā rahī
na umañgeñ haiñ vo shabāb kī
na vo pattiyāñ haiñ gulāb kī
na havā meñ bū hai sharāb kī
mujhe mast thī jo binā rahī
vo kañval ġhazab ke the dil-rubā
jahāñ uḌte the mire ham-navā
magar ab na un kī hai vo adā
na vo bū rahī na safā rahī
lab-e-ābjū thī fazā ġhazab
vo bahār kī thī havā ajab
mire kunj meñ mujhe roz-o-shab
mai-e-be-ḳhudī thī pilā rahī
vo ġhazab kī kū-kū vo zamzama
vo surīlī dard-bharī sadā
sar-e-shām sarv pe fāḳhta
mujhe loriyāñ thī sunā rahī
haiñ kañval kī ḳhushk jo pattiyāñ
mirī ḳhvāb-gah thī kabhī yahāñ
yahīñ shab ko de de ke thapkiyāñ
thī nasīm mujh ko sulā rahī
na guloñ meñ bū-e-vafā rahī
na vo dil-rubā hī adā rahī
na chaman rahā na fazā rahī
na vo din rahe na havā rahī
na ravish hai ab vo sip.har kī
na guloñ meñ bū hai vo mahr kī
ki havā hai gulshan-e-dahr kī
mujhe sabz-bāġh dikhā rahī
na wo ketki ki phaban rahi
na wo motiya ki ada rahi
na wo nastaran na saman rahi
na wo gul rahe na faza rahi
na gulon ke ab hain wo qahqahe
na wo bulbulon ke hain chahchahe
na ghazal-sara wo koi rahe
na wo qumriyon ki sada rahi
na wo sarw hai na wo aab-e-ju
na wo ham-safir hain KHush-gulu
na banafsha hai na wo naz-e-bu
na wo jafri na jafa rahi
na wo subh ki hain tajalliyan
na shafaq ki aah wo jhalkiyan
na wo udi udi hain badliyan
na wo bhini bhini hawa rahi
na umangen hain wo shabab ki
na wo pattiyan hain gulab ki
na hawa mein bu hai sharab ki
mujhe mast thi jo bina rahi
wo kanwal ghazab ke the dil-ruba
jahan uDte the mere ham-nawa
magar ab na un ki hai wo ada
na wo bu rahi na safa rahi
lab-e-abju thi faza ghazab
wo bahaar ki thi hawa ajab
mere kunj mein mujhe roz-o-shab
mai-e-be-KHudi thi pila rahi
wo ghazab ki ku-ku wo zamzama
wo surili dard-bhari sada
sar-e-sham sarw pe faKHta
mujhe loriyan thi suna rahi
hain kanwal ki KHushk jo pattiyan
meri KHwab-gah thi kabhi yahan
yahin shab ko de de ke thapkiyan
thi nasim mujh ko sula rahi
na gulon mein bu-e-wafa rahi
na wo dil-ruba hi ada rahi
na chaman raha na faza rahi
na wo din rahe na hawa rahi
na rawish hai ab wo siphar ki
na gulon mein bu hai wo mahr ki
ki hawa hai gulshan-e-dahr ki
mujhe sabz-bagh dikha rahi
- Book : Durga Sahaye Suroor Jahanabadi(Tehqiqi aur Tanqidi Jaizay) (Pg. 274)
- Author : Alif Nazim, Asad barkati
- Publication : Educational Publishing House (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.