jawaz
zindagī kitnī hai ajīb-o-ġharīb
zindagī kyā hai ik tamāshā hai
zindagī rahguzār-e-be-manzil
be-talab be-husūl jiinā hai
haiñ faqat chand log hī muḳhtār
aur baaqī jo haiñ vo bande haiñ
kyā phire haiñ gale meñ laTkā.e
ranj-o-mazlūmiyat ke phande haiñ
phir bhī jiite haiñ kyā ḳhabar kyā ho
kuchh davāmī nahīñ nizām-e-kohan
garche hai ye maqām-e-dard-o-mehan
kyā ḳhabar manzil-e-digar kyā ho
aaj har chand haiñ ba-hāl-e-zabūñ
kaun jaane ki kal magar kyā ho
zindagi kitni hai ajib-o-gharib
zindagi kya hai ek tamasha hai
zindagi rahguzar-e-be-manzil
be-talab be-husul jina hai
hain faqat chand log hi muKHtar
aur baqi jo hain wo bande hain
kya phire hain gale mein laTkae
ranj-o-mazlumiyat ke phande hain
phir bhi jite hain kya KHabar kya ho
kuchh dawami nahin nizam-e-kohan
garche hai ye maqam-e-dard-o-mehan
kya KHabar manzil-e-digar kya ho
aaj har chand hain ba-haal-e-zabun
kaun jaane ki kal magar kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.