lashen
laash ko dafnānā
āsān kaam nahīñ hai
marne vaale ke ahbāb ko lagtā hai
ki vo abhī tak zinda hai
aur kisī bhī vaqt uTh kar
unheñ gale lagā saktā hai
yahī soch kar vo is laash ke dāman ko
chhoḌnā nahīñ chāhte
koī mo.ajiza hone par hī
laash meñ jaan aa saktī hai
chāhe vo maut insān kī ho
yā kisī rishte kī
lash ko dafnana
aasan kaam nahin hai
marne wale ke ahbab ko lagta hai
ki wo abhi tak zinda hai
aur kisi bhi waqt uTh kar
unhen gale laga sakta hai
yahi soch kar wo is lash ke daman ko
chhoDna nahin chahte
koi moajiza hone par hi
lash mein jaan aa sakti hai
chahe wo maut insan ki ho
ya kisi rishte ki
- Book : Muhobbat Ke Saaye (Pg. 51)
- Author : Elizabeth Kurian Mona
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.