zindagī ek ḳhvāb hai
mere liye mohabbat kā tavīl aur aziyyat-nāk ḳhvāb
maiñ duniyā ke hañgāmoñ se ġhāfil huuñ
insānoñ kā shor merī zaat kī sarhadoñ par ruk jaatā hai
andar aanā man.a hai
mere dil kā darvāza band hai
merā koī ghar nahīñ
maiñ apne pāgal-pan ke registān meñ bhaTak rahā huuñ
maiñ apne andar safar kar rahā huuñ
maiñ bāhar nahīñ nikal saktā
maiñ apnī ḳhvāhish ke mutābiq amal nahīñ kar saktā
maiñ barzaḳh meñ huuñ
jannat aur jahannam bāhar haiñ
mere liye bāhar sirf ek aurat hai
duniyā mere liye nahīñ hai
maiñ apnī tanhā.ī meñ qaid huuñ
haqīqat se be-ḳhabar aur ġhāfil
ek aurat ke ḳhayāl meñ khoyā huā
mohabbat ke tavīl aur aziyyat-nāk ḳhvāb meñ mubtalā
ye musalsal jāñ-kanī kī hālat
kyā ye zindagī hai
zindagi ek KHwab hai
mere liye mohabbat ka tawil aur aziyyat-nak KHwab
main duniya ke hangamon se ghafil hun
insanon ka shor meri zat ki sarhadon par ruk jata hai
andar aana mana hai
mere dil ka darwaza band hai
mera koi ghar nahin
main apne pagal-pan ke registan mein bhaTak raha hun
main apne andar safar kar raha hun
main bahar nahin nikal sakta
main apni KHwahish ke mutabiq amal nahin kar sakta
main barzaKH mein hun
jannat aur jahannam bahar hain
mere liye bahar sirf ek aurat hai
duniya mere liye nahin hai
main apni tanhai mein qaid hun
haqiqat se be-KHabar aur ghafil
ek aurat ke KHayal mein khoya hua
mohabbat ke tawil aur aziyyat-nak KHwab mein mubtala
ye musalsal jaan-kani ki haalat
kya ye zindagi hai
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.