ehsas-e-jurm
vo pahlā shaḳhs
jis ne
soch ke Thahre hue paanī meñ
pahlī kañkarī pheñkī
vo pahlā falsafī
jis ne
darīche zehn ke khole
vo shā.ir
jis ne pahle sher kī taḳhlīq
kī hogī
vo sab ke sab agar
is daur meñ
phir janm le leñ
to un ko irtikāb-e-jurm kā ehsās
phir se maar Dālegā
wo pahla shaKHs
jis ne
soch ke Thahre hue pani mein
pahli kankari phenki
wo pahla falsafi
jis ne
dariche zehn ke khole
wo shair
jis ne pahle sher ki taKHliq
ki hogi
wo sab ke sab agar
is daur mein
phir janm le len
to un ko irtikab-e-jurm ka ehsas
phir se mar Dalega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.