puure kumbe se nafrat yā pyaar karo
ek se nafrat ek se pyaar ye kyā hai
log sabhī ik jaise haiñ
jāhil haiñ to sab jāhil haiñ aalim haiñ to sab ke sab
zulm kisī ik shaḳhs se to maḳhsūs nahīñ hai
jis ko tum zālim kahte ho vo bhī
bachpan meñ ma.asūm thā ḳhushbū kī mānind zarar se ḳhālī
aur jis ko vidvān ho kahte us kā zehn
kal tak chaTTe kāġhaz jaisā nirmal aur be-dāġh thā
zālim ne us kumbe hī meñ zulm kī shikshā paa.ī
aur vidvān ne bhī ye ulTī sīdhī bāteñ
logoñ hī se sun kar zehn meñ bhar rakhī haiñ
ye logoñ kā kumba
ek mahān daraḳht hai ham sab patte haiñ
hare yā sūkhe mīThe haiñ yā kaḌve
apnā kyā hai
peḌ kā ras ham sab meñ yaksāñ jārī-o-sārī hai
pure kumbe se nafrat ya pyar karo
ek se nafrat ek se pyar ye kya hai
log sabhi ek jaise hain
jahil hain to sab jahil hain aalim hain to sab ke sab
zulm kisi ek shaKHs se to maKHsus nahin hai
jis ko tum zalim kahte ho wo bhi
bachpan mein masum tha KHushbu ki manind zarar se KHali
aur jis ko widwan ho kahte us ka zehn
kal tak chaTTe kaghaz jaisa nirmal aur be-dagh tha
zalim ne us kumbe hi mein zulm ki shiksha pai
aur widwan ne bhi ye ulTi sidhi baaten
logon hi se sun kar zehn mein bhar rakhi hain
ye logon ka kumba
ek mahan daraKHt hai hum sab patte hain
hare ya sukhe miThe hain ya kaDwe
apna kya hai
peD ka ras hum sab mein yaksan jari-o-sari hai
- Book : tanhaa.ii (Pg. 245)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.