kyā tum ne ek aurat ko dekhā hai
us kī chhātiyoñ ke darmiyān ek saañp reñg rahā hai
us kī rānoñ ke darmiyān safed paanī kā chashma hai
maiñ pyaas se mar rahā huuñ
lekin maiñ use haath nahīñ lagā saktā
maiñ ek daraḳht ke andar qaid huuñ
kyā tum ne ek aurat ko dekhā hai
maiñ us ko dekh rahā huuñ
vo ek saañp ko khā ga.ī hai
merī ḳhvāhisheñ us ke peT meñ haiñ
us ne mujhe chhoḌ diyā hai
log tāliyāñ bajā rahe haiñ
ye tamāshā azal se jaarī hai
maiñ intizār kar rahā huuñ
jaao use DhūñD kar laao
maut mere liye na.ī nahīñ hai
maiñ hamesha martā rahā huuñ
lekin merī zindagī ḳhatm nahīñ huī
merī ḳhvāhisheñ us ke andar raqs kar rahī haiñ
jaao mujhe DhūñD kar laao
daraḳht ke patte gir rahe haiñ
havā chīḳh rahī hai
maiñ ne ek aurat ko āsmān par uḌte hue dekhā hai
kyā tum ne bhī kuchh dekhā hai
agar tumheñ kuchh dikhā.ī de to mujhe bhī dikhānā
filhāl tum ḳhāmosh raho
tumhārī bāteñ registān ko sairāb nahīñ kar saktīñ
ḳhushk ret merī pyaas nahīñ bujhā saktī
us kī rānoñ ke darmiyān safed paanī kā chashma hai
sūraj mere sar ke andar chamak rahā hai
pāgal-pan raqs kar rahā hai
bādaloñ ne use gher liyā hai
maiñ mohabbat ke ḳhvāb dekh rahā huuñ
maiñ ek vāhime kī aarzū meñ martā huuñ
kyā tum ne use dekhā hai
kya tum ne ek aurat ko dekha hai
us ki chhatiyon ke darmiyan ek sanp reng raha hai
us ki ranon ke darmiyan safed pani ka chashma hai
main pyas se mar raha hun
lekin main use hath nahin laga sakta
main ek daraKHt ke andar qaid hun
kya tum ne ek aurat ko dekha hai
main us ko dekh raha hun
wo ek sanp ko kha gai hai
meri KHwahishen us ke peT mein hain
us ne mujhe chhoD diya hai
log taliyan baja rahe hain
ye tamasha azal se jari hai
main intizar kar raha hun
jao use DhunD kar lao
maut mere liye nai nahin hai
main hamesha marta raha hun
lekin meri zindagi KHatm nahin hui
meri KHwahishen us ke andar raqs kar rahi hain
jao mujhe DhunD kar lao
daraKHt ke patte gir rahe hain
hawa chiKH rahi hai
main ne ek aurat ko aasman par uDte hue dekha hai
kya tum ne bhi kuchh dekha hai
agar tumhein kuchh dikhai de to mujhe bhi dikhana
filhaal tum KHamosh raho
tumhaari baaten registan ko sairab nahin kar saktin
KHushk ret meri pyas nahin bujha sakti
us ki ranon ke darmiyan safed pani ka chashma hai
suraj mere sar ke andar chamak raha hai
pagal-pan raqs kar raha hai
baadalon ne use gher liya hai
main mohabbat ke KHwab dekh raha hun
main ek wahime ki aarzu mein marta hun
kya tum ne use dekha hai
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 52)
- Author : Salahuddin Mahmood
- Publication : Saweera art Press, Pakistan (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.