badan ka faisla
ye badan
jise maiñ
behtarīn ġhizā.eñ khilātā rahā
paanī kī jagah
sharāb pilātā rahā
yahī badan
mujh se kahtā hai
jaao
dafa.a ho jaao
jannat ke maze uḌaao
ki dozaḳh ke azaab uThāo
merī balā se
maiñ to ab
qabr meñ so rahūñgā
miTTī huuñ
miTTī kā ho rahūñgā!!
ye badan
jise main
behtarin ghizaen khilata raha
pani ki jagah
sharab pilata raha
yahi badan
mujh se kahta hai
jao
dafa ho jao
jannat ke maze uDao
ki dozaKH ke azab uThao
meri bala se
main to ab
qabr mein so rahunga
miTTi hun
miTTi ka ho rahunga!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.