qumquma 1
qumquma hai ki lab-e-bām liye baiThī hai
tīrgī apnī hathelī pe ujāle kī Dalī
jis ko ḳhud mauj-e-havā oT kiye baiThī hai
naqsh hairat banī taktī hai jise andhī galī
jaise kuchh duur añdhere kī kisī an-jānī
shāḳh pe ḳhanda-ba-lab ġhuncha ḳhāmoshī ho
raat kī gosh-bar-āvāz fazā meñ jaise
narm narm aañch kī jaagī huī sargoshī ho
kaash ye qumquma jugnū kī tarah uḌne lage
mujh tak aa pahuñche tasavvur kī ghanī chhāñv meñ
maiñ chalūñ rāh-e-taḳhayyul pe to palkeñ jhapke
TimTimātī huī parvāz mire paañv meñ
jāda-e-fikar kī amvāj baḌhtā baḌhtā jā.ūñ
ḳhud ko ghere se hue sapnoñ kī hasīnāoñ meñ
uḌte talvoñ ke madhur aks se jhalakātā huā
zau ke ā.īne ḳhayālāt ke dariyāoñ meñ
merī manzil ho koī man kā sunahrā Taapu
ghūmūñ jī bhar ke tilismī se kisī gaañv meñ
qumquma hai ki lab-e-baam liye baiThi hai
tirgi apni hatheli pe ujale ki Dali
jis ko KHud mauj-e-hawa oT kiye baiThi hai
naqsh hairat bani takti hai jise andhi gali
jaise kuchh dur andhere ki kisi an-jaani
shaKH pe KHanda-ba-lab ghuncha KHamoshi ho
raat ki gosh-bar-awaz faza mein jaise
narm narm aanch ki jagi hui sargoshi ho
kash ye qumquma jugnu ki tarah uDne lage
mujh tak aa pahunche tasawwur ki ghani chhanw mein
main chalun rah-e-taKHayyul pe to palken jhapke
TimTimati hui parwaz mere panw mein
jada-e-fikar ki amwaj baDhta baDhta jaun
KHud ko ghere se hue sapnon ki hasinaon mein
uDte talwon ke madhur aks se jhalakata hua
zau ke aaine KHayalat ke dariyaon mein
meri manzil ho koi man ka sunahra Tapu
ghumun ji bhar ke tilismi se kisi ganw mein
- Book : auraq-shumara-number-02 (Pg. 80)
- Author : Wazeer Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Auraq,Chauk Urdu Bazar Lahore (July-1968 Issu,02)
- Edition : July-1968 Issu,02
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.