ḳhūb-sūrat hai zamīñ
dhuup meñ chamke hue is shahr meñ
zindagī dilchasp hai
aql kī bāteñ jahannam kī dhadaktī aag haiñ
un se ham vāqif nahīñ
amn hai aur niiñd hai aur ḳhvāb haiñ
apnī hī lazzat meñ gum
jism haiñ
dostoñ se duur hañgāmoñ meñ maiñ khoyā huā
pur-sukūn
aah kitnī ḳhūb-sūrat hai zamīn
dhuup meñ chamke hue is shahr meñ
zindagī dilchasp hai
KHub-surat hai zamin
dhup mein chamke hue is shahr mein
zindagi dilchasp hai
aql ki baaten jahannam ki dhadakti aag hain
un se hum waqif nahin
amn hai aur nind hai aur KHwab hain
apni hi lazzat mein gum
jism hain
doston se dur hangamon mein main khoya hua
pur-sukun
aah kitni KHub-surat hai zamin
dhup mein chamke hue is shahr mein
zindagi dilchasp hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 148)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.